Saturday 10 March 2012

paaki k masail


Sawal: najaasat ki tareef kiya hai?
Jawab: najaasat ki 2 iqsaam hain ek nijasat e khafifa aur dosri nijasat e ghaliza.
1) najasat e khafifa: ye aisi najasat hai jis mein halal janwaron ka peshab kapray k chothai hissay tak muaaf  hai aur kapray ka her hissa alag shumaar hota hai daaman alag hissa hai aasteen alag hissa hai is liye sub ka chothai hissa b alag shumar hoga aur muaaf honey ka matlab ye hai k is halat mein namaz parh li jaey to namaz ho jaey gi dobara lotaaney ki zarurt nahi magr najasat ka door karna aur kapray ko paak karna bhi zaruri hai.
2) najasat e ghaliza: ye aisi najasat hai jis mein admi ka pakhana, peshab, sharab, khoon, janwaron ka gober, aur haram janwaron ka peshab wagera shamil hain ye agr siyal behny waly hon to ek rupay (jo bara wala ek rupay ka sikka hai) k phelao k brabar muaaf hain aur agr garha maada ho to 5 maashey wazan jitna muaaf hai is se zyada ho to namaz na hogi.
Sawal: dair tak peshaab k qatray aaney walon k liye paaki hasil karny ka tariqa kiya hoga?
Jawab: jis shakhs ko ye marz lahaq ho k dair tak usay qatray atey rehty hain usay paani se istanjja karny se pehly lazmi pathar ya tissue ka istemal karna chahye jab itmenaan ho jaey phir paani se istanjja kary.
Sawal: hawa nikal janey ki surat mein kiya istanjja bhi lazim ho jata hai?
Jawab: jii nahin hawa nikalney ki surat mein sirf  wuzoo lazim aata hai istanjja karna sahi nahin hai agr hawa k sath kuch najast nikal gai ho tab istanjja bhi lazim hai.
Sawal: sheer khwaar bachy ka peshab paak hai ya naa paak?
Jawab: itny bachy ka peshab bhi naa paak hota hai is liye us jagah ya kapray ko paak karna zaruri hai.
Sawal: kapray aur bartan paak karny ka tareeqa?
Jawab: kapra ya bartan agr naa paak ho jayen to 3 baar saaf paani se dho leny se ye paak ho jaty hain kapray ko 3 baar nichor kar dhona hoga.
Sawal: roi aur foam ka gadda paak karny ka tariqa kiya hai?
Jawab: aisi cheez jis ko nichorna mumkin na ho is k paak karny ka tariqa ye hai k us ko dho kar rakh diya jaey yahan tak k us se qatry tipakna band ho jayen is tarah us cheez ko 3 baar dho liya jaey to wo paak ho jaey gi.
Sawal: kiya naa paak insan agr bartan ya kisi aur cheez ko hath laga le to woh naa paak ho jaey gi?
Jawab: jab tak naa paak insan k haath pe koi zaahiri najasat lagi na hogi to us k kisi bhi cheez ko haath lagany se woh cheez naa paak nahi hogi.
Sawal: kapray dhoty huy jo chinten urti hain woh paak hain ya naa paak?
Jawab: agr kapra naa paak hoga to lazmi tor pe dhotey huy uski urti cheenten b naa paak hongi un se bachna zaruri hai aur paak kapray ki cheentain paak hoti hain.
Sawal: bachy ka peshab agr farsh ya zameen pe sokh jaey to uska hukum kiya hai?
Jawab: agr bachy ka peshab zameen ya farsh pe sookh kar mukamal khatm ho jaey to woh jaga paak hogi aur wahan kapra bichaey bina b namaz parh sakty hain.
Sawal: kisi cheez k paak ya naa paak hony mein shak ho to uska kiya hukum hai?
Jawab: agr yaqeen zyada ye ho k paak hai to usay paak samjha jaey aur shetaani wasawis pe dehan na dein aur jis cheez ka ghalib gumaan ho k naa paak hai woh naa paak hogi.
Sawal: kuttay aur billi k badan se agr kapray choo jaeyen to kiya hukum hai?
Jawab: kuttay aur billi k jism se agr kapray wagera choo jayen to wo paak hongay chahey unka jism geela hee kyun na ho bus un k jism pe koi zaahiri najasat na lagi ho magr kuttay ka thook naa paak hai woh jis cheez pe lag gaya woh bhi naa paak ho jaey gi aur billi ka thook makrooh hai is liye dono k thook se bachna zaruri hai.

   Paaki se mutaaliq aurton ke masail

Sawal: Haiz ki kam se kam muddat aur zyada se zyada muddat kiya hai?
Jawab: Haiz ki kam se kam muddat 3 din aur 3 raat hai aur zyada se zyada muddat 10 din aur 10 raat hai lekin agr 3 din se khoon kam aya sirf ek ya 2 din to woh haiz shumaar na hoga balkey woh istehaza hoga aur us din ki namaz qaza karna zaruri hogi aur agr isi tarah 10 din se zyada khoon aya to pichli daffa ki adat ko dekhna hoga k last time kitny din khoon aya tha agr jesy last time 6 ya 7 din khoon aya tha to itny din is baar bhi haiz ke hongay aur is se ooper jitny din khoon ayega woh istehaza ka khoon hoga jis mein namaz wgera parhna farz hai aur istehaza woh khoon hota hai jo kisi bemari ki wajah se aata ho.
Sawal: kiya aurat naa paaki k ayaam mein naha sakti hai?
Jawab: jii haan aurat naa paaki k ayaam mein naha sakti hai magr ye nahana paaki k liye na hoga.
Sawal: kiya haiz se paak hony ki koi ayat hai?
Jawab: jii nahin na paak insan paani se paak hota hai ayaat aur kalmaat se nahin.
Sawal: haiz mein shohar se muqarbat?
Jawab: aisi halat mein biwi se milna na jaiz haraam aur gunah e kabeera hai toba isteghfaar kary aur agr gunjaish hi to taqreeban 6 garam chandi ya is ki qeemat sadqa kary warna toba hee karta rahy magr is na jaiz amal se nikkah mein koi farq nahi parta magr aisi halat mein aurat k naaf se ghutnon tak k hissay ko bhi shohar ka haath lagana begair pardey k jaiz nahin.
Sawal: haiz k dino mein aurton k haath ka pakka khana khana jaiz hai ya nahin?
Jawab: zamana jaahiliyat mein ye mashoor tha lekin aisi koi baat nahin hai khana kha sakty hain aur tamam kaam jesy kapry dhona wagera sub jaiz hain.
Sawal: nifaas kisy kehty hain aur is ki kam se kam aur zyada se zyada muddat kiya hai?
Jawab: bacha peda hony k baad jo khoon aata hai usay nifaas kehty hain aur is ki kam se kam muddat koi nahin agr ek lamha khoon aa kar ruk jaey to wo nifaas hee kelata hai aur zyada se zyada muddat 40 din 40 raat hai agr 40 din se khoon zyada ayega to wo istehaza ka khoon hoga.
Sawal: haiz aur nifaas k ahkaam kiya hain?
Jawab: haiz aur nifaas mein namaz muaaf hai bad mein in ki qaza karny ki zarurt nahin jab k in ayaam mein roza muaaf nahin baad mein rozey ki qaza karna hogi aur tilawat e kalaam e paak jaiz nahin magr zikr e ALLAH aur darood shareef aur deegar duaein parhi jaa sakti hain aur wazaif aisy jin mein qurani ayaat na hon woh kar sakty hain.
Sawal: haiz ki halat mein mehndi lagana jaiz hai?
Jawab: haiz ki halat mein mehndi lagana jaiz hai.
Sawal: haiz k doran pehny huy kapron ka hukum?
Jawab: haiz k doran pehny huy kapry pak hoty hain agr nijasat lag gai ho to us hissay ko pak kar liya jaey wesy kapra paak hai.
Sawal: kiya haiz k dinon mein quran e pak ka tarjuma parhna ya arabic mein ahadees parhna jaiz hai?
Jawaz: dono kaam jaiz hain magr begair haath lagaey huy.
Sawal: imtehan k dino mein qurani surton ka jawab kis tarah likha jaey?
Jawab: tarjuma aur tashreeh likhny ki ijazat hai magr ayat e kareema ka mattan na likhy balkey ayat ka hawala de kar us ki tashreeh likh de.

Masail e wuzoo


Sawal: Wuzoo ke kitny faraiz hain?

Jawab: wuzoo ke sirf 4 faraiz hain.(1) tamaam chehra dhona (2) kohniyon samait baazo dhona (3) sar ka massah karna (4) paaon takhnon samait dhona....jis ne ye 4 kaam kar liye uska wuzoo ho jaey ga.

Sawal: ghusal se pehly aur baad mein wuzoo ki tafseel?

Jawab: ghusal se pehly wuzoo sunnat hai aur ghusal se pehly wuzoo na karny ki surat mein bhi ghusal darust hoga jab ke ghusal karny se wuzoo bhi ho jata hai aur ghusal k baad wuzoo karna bilkul darust nahi hai.

Sawal: wuzoo mein niyat karna shart hai ya nahin?

Jawab: wuzoo mein niyat shart nahi hai lekin niyat kar leny se sawab milta hai.

Sawal: ghani darhi ko andar tak dhona zarori hai ya nahi?

Jawab: ghani darhi ko opar se dhona farz hai aur is ka khalaal karna sunnat hai. halki darhi ko andar tak dhona farz hai.

Sawal: pehly wuzoo se namaz parhy begair naya wuzoo kar k namaz parhna kesa hai?

Jawab: jab tak pehly wuzoo se kam se kam 2 rakaat namaz ya koi aisi ibadat jis mein wuzoo shart hai na kar li jaey to dobara naya wuzoo darust nahi hai gunah hai.

Sawal: jis ghusal khaney mein peshab kiya ho is mein wuzoo karna kesa hai?

Jawab: ghusal khaney mein peshab nai karna chahye is se waswasey ka marz ho jata hai aur agr peshab kar diya ho to wuzoo se pehly dho kar jaga ko paak kar lena chahye.

Sawal: wuzoo k bachy huy paani se wuzoo jaiz hai ya nahi?

Jawab: wuzoo ka bacha hua paani paak hota hai is se wuzoo jaiz hai.

Sawal: istmal shuda paani se wuzoo jaiz hai ya nahi?

Jawab: istmal shuda pani wo hota hai jo wuzoo karty waqt badan se giray aisy paani se dobara wuzoo sahi nahi hai.

Sawal: khary ho kar besan mein wuzoo karna kesa hai?

Jawab: wuzoo to is tarah ho jata hai lekin afzal ye hai k qibla rukh beth kar wuzoo kiyaa jaey.

Sawal: zakhm se khoon nikalney per wuzoo ka kiya hukum hai?

Jawab: agr zakhm aisa hai jis ko paani nuqsaan deta ho to sirf masah karna kaafi hai aur agr is mein se khoon her waqt nikalta rehta hai aur kabi b nahi rukta to her namaz k pury waqt k andar ek bar wuzoo kar lena kaafi hai aur agr kabi khoon nikalta hai kabi nai to jab khoon nikal kar beh jaey to dobara wuzoo karna hoga.

Sawal: daant se khoon nikalny per kab wuzoo tooty ga?

Jawab: agr khoon ka zaiqa aey ya thook ka rang surkhi maail ho jaey to wuzoo toot jaey ga warna nahin.

Sawal: hawa khaarij honey per wuzoo ka hukum?

Jawab: hawa khaarij ho janey per sirf dobara wuzoo kar lena kaafi hai agr istanjja kiya jaey to ye biddat hai.

Sawal: bossa leny se wuzoo toot jata hai ya nahi?

Jawab: hanfia k nazdeek bossa leny se wuzoo nai toot'ta agr mazzi kharij ho jaey to toot jaey ga.

Sawal: kaprey badalney, apna jism dekhney ya barhna bacha dekhney ya nangi tasweer dekhney se wuzoo ka hukum?

Jawab: kaprey badalney se apna jism aur barhna bacha dekhney se wuzoo nai toot'ta aur nangi tasweer dekhney se bhi wuzoo nahi toot'ta lekin is surat mein dobara wuzoo kar lena behtar hai.

Sawal: cigrate peeny TV dekney aur radio pe ganey sunney se wuzoo ka hukum?

Jawab: cigrate peeny se wuzoo nai toot'ta lekin munh ki badboo ka puri tarah doo karna zaroori hai aur gunahon k kaamon se wuzoo nai toot'ta lekin makrooh ho jata hai jesa k TV aur radio is liye dobara wuzoo kar lena mustahab hai.

Sawal: wuzoo k waqt orat ka sar pe dopatta lena?

Jawab: orat ko wesy to hmesha sar dhaanp kar rakhney ki koshish karna chahye lekin dopatta utar bhi jaey to wuzoo ho jata hai.

Sawal: surkhi, powder, cream, aur nail polish laga kar wuzoo karney ka hukum?

Jawab: surkhi aur nail polish ki teh jam jati hai jis ki waja se paani jism tak nai pohnchta is liye wuzoo aur ghusal k liye in ko utarna zaroori hai jab k powder aur cream me agr koi napaak cheez mili hui na ho to wuzoo ho jaey ga.

masail e ghusal


Sawal: ghusal k kitney faraiz hain?

Jawab: ghusal k kul 3 faraiz hain 1) munh mein paani daal k garaara karna 2) naak mein kachi haddi tak paani pohnchana 3) puray badan ko is tarah dhona k baal barabar jagah b khushk na rahy.

Sawal: Agr ghusal k aakhir mein kulli yaani garaarey aur naak mein paani dalna yaad aye to kiya karna chahye?

Jawab: bhool janey ki surat mein jab yaad ajaey us waqt hee munh aur naak mein paani daal lein to bhi ghusal ho jaey ga.

Sawal: ramzan mein gharaarey aur naak mein paani dalney ka hukum?

Jawab: ramzan mein garaarey aur naak mein paani dalney ki zaroorat nahi q k is tarah roza toot janey ka andesha ho sakta hai begair in k bhi ghusal ho jaey ga.

Sawal: ghusal kharey ho kar ya beth kar ya khuley medaan mein karney ka hukum?

Jawab: pardey mein kaprey utaar kar aur beth kar ghusal karna zyada behtar hai aur agr mard khuley medaan mein ghusal kary to naaf se ghutnon tak apna satar dhaanp kar ghusal kary kyun k satar kholna haraam hai.

Sawal: gehray aur jaari paani mein ghusal kesy karain?

Jawab: gehray aur jaari paani mein kulli aur naak mein paani daal leny k baad dubki laga leny se bhi ghusal adaa ho jaey ga.

Sawal: haiz k baad paak honey k liye kia kiya jaey?

Jawab: haiz k baad paak honey k liye najaast ko dho leny k baad bus ghusal kar liya jaey to paaki haasil ho jaey gi.

Sawal: kiya orat k liye tamaam baalon ka dhona zaroori hai?

Jawab: sar k tamaam baal dhona farz hai puraney zamaney mein oratein sar k baal goondh liya karti thi yani mendhniyan si ban jati thi aisi surat mein sirf baalon ki jarr tak paani pohncha dena kaafi hota tha magr ajkal baal aam tor per khuly rakhti hain is liye tamaam baal dhona farz hai warna ghusal na hoga.

Sawal: train mein ghusal kesy karain jab k sirf wuzoo jitna paani ho?

Jawab: agr ghusal k liye paani mojood na ho to tayammum kar liya jaey is mein b 3 sharait hain (1) train k kisi dabbey mein bhi itna paani ghusal jitna mojood na ho. (2) raasty mein ek meel k andar koi station na ho jahan paani ka mojood hona maloom ho. (3) train k takhton per itni matti jami ho jis se tayammum ho sakey...agr in mein se koi shart na paai jaey to jis tarah mumkin ho us waqt to namaz parh lein lekin baad mein ghusal kar k woh namaz lotana zaroori hai.

Sawal: ghusal ki haajat ho to roza rakhna aur khaana peena aur bartan wagera ko hath lagana kesa hai?

Jawab: haath munh dho kar kha pee lein aur roza rakh lein ghusal baad mein kar lein janaabat ki halat mein khana peena makrooh nahi hai aur bartan ko hath laganey se wo b napaak nai hoty.

Sawal: ghusal e janaabat mein taakheer karna kesa hai?

Jawab: ghusal e janaabat mein itni takheer karna k namaz fout ho jaey sakht gunah hai ghusal mein kisi bhi dunyavi mashgholiyat ki waja se itni taakheer karna k namaz fout ho jaey jaiz nahin hai.

Sawal: ghusal aur wuzoo mein shak karna aur zyada paani bahaana k koi jagah khushk na reh gai ho?

Jawab: ghusal aur wuzoo sunat k mutaabiq yaani 3, 3 baar jism per paani baaha lein is k baad shak karna galat hai khwah kitney bhi waswasey ayen k koi hissa khushk reh gaya hoga magr isko sheetani khyaal samjh k iski koi parwah na karain.

Sawal: ghusal e janaabat k baad pehly waly kaprey pehnna?

Jawab: aisy kaprey pehny jaa saktey hain agr un pe koi najaasat na lagi hui ho koi harj nahin hai.

Sawal: naapaki ki halat mein naakhun aur baal kaatna kesa hai?

Jawab: naapaki ki halat mein naakhun aur baal kaatna makrooh hai lekin agr naakhun aur baal dho kar kaat liye jayen to makrooh nahin hai.

Sawal: janaabat ki halat mein milna julna aur salam ka jawab dena kesa hai?

Jawab: janabat ki halat mein kisi se milna salam kehna ya salam ka jawab dena jaiz hai.

Sawal: zair e naaf baal kahan tak kaatna chahye?

Jawab: naaf se le kar raanon ki jarr tak aur peshab aur paakhaney ki jagah k ird gird jahan tak mumkin ho baal kaat dena chahye.

Sawal: gair zaroori baal aur naakhun kitny din baad kaat dena chahye?

Jawab: gair zaroori baal aur naakhun her haftey kaatna mustahb hai lekin 40 din tak na kaatney ki ijazat hai magr 40 din se zyada dair rakhna gunah hai.

Sawal: seeny k baal aur taangon ya pindliyon k baal blade se kiya saaf kiye jaa sakty hain?

Jawab: jii haan jaiz hai.

Sawal: kiya orat per bacha peda honey se ghusal farz ho jata hai?

Jawab: orat per bacha peda honey k baad usi waqt ghusal wajib nahi hota jab khoon aana band ho jaey to ghusal waajib ho jata hai.

Sawal: ghusal k baad agr koi qatra ajaey to kiya hukum hai?

Jawab: peshab ka qatra aney per dobara ghusal ki zaroorat nahi lekin agr money ka qatra aya hai to ghusal se pehly so liya ho ya peshab kar liya ho ya chal phir liya ho to bhi dobara ghusal ki zaroorat nahi lekin agr naapaki lahaq honey k foran baad ghusal kar liya na peshab kiya na soya na chala phira aur koi qatra money ka agaya to dobara ghusal laazim hai lekin qatra nikalney se pehly agr koi namaz parhi to wo ho gai.

masail e tayammum


Sawal: tayammum ka tariqa kiya hai?

Jawab: tayammum ki niyat karna farz hai phir paak saaf matti per 2 baar haath maarna ek baar haath maar kar chehra pe pherna aur doosri baar haath maar kar dono baazo pe kohniyon samait haath pherna farz hai.

Sawal: tayammum karna kab jaiz hai?

Jawab: tayammum karna sirf 2 soorat mein jaiz hai (1) jab ek meel k ander paani muyasar na ho yaa paani mojood to ho magr istemaal na kar sakey jesy kunwaan ho magr paani nikaal na saky ya paani pe dushman ka qabza ho ya paani pe koi darinda betha ho aisi soorat mein tayammum kar sakty hen (2) doosri surat ye hai k paani mojood hai magr wazoo ya ghusal ki surat mein jaan ki halaakat ka ya bemari k barh janey ka ya jism k kisi hissay ko nuqsan pohnchney ka khatra ho ya khud wazoo aur ghusal karny se mazoor hai aur koi dusra admi wazoo aur ghusal karwany k liye mojood nahi aisi surat mein bhi tayammum jaiz hai.

Sawal: kiya wazoo aur ghusal k tayammum ka ek hee tariqa hai?

Jawab: jii haan wazoo aur ghusal k tayammum ka ek hee tariqa hai.

Sawal: tayammum kin cheezon se jaiz hai?

Jawab: tayammum paak matti se ho sakta hai ya jo cheez matti ki jins se ho aur lakri , kapra , loha jesi cheezon se tayammum nahi ho sakta lekin agr in cheezon per matti ya ghubaar para ho to tayammum jaiz hoga.
Sawal: kiya waqt ki tangi ki wajah se ghusal k bajaey tayammum jaiz hai?
Jawab: mehz waqt ki tangi ki wajah se tayammum karna jaiz nahi ghusal kar k namaz parhen aur agr waqt nikal jaey to qaza parhen albatta behtr ye hai k us waqt tayammum kar k namaz parh lein lekin baad mein ghusal kar k laazmi namaz parh lein.
Sawal: kis had tak beemar insan tayammum kar sakta hai?
Jawab: agr insan ki beemari ka taayun koi maahir doctor kary k paani se lazmi apko nuqsan hoga to aisa shakhs tayammum kar sakta hai.
Sawal: agr ghusal wajib ho to kiya her namaz k liye alag alag ghusal ka tayammum karna hoga?
Jawab: jii nahin ghusal wajib honey pe sirf ek baar ghusal ka tayammum kar lena kaafi hoga jab k her namaz k liye phir sirf wuzoo kiya jaeyga ya wuzoo per bhi qaadir na ho to wuzoo ki jagah bhi tayammum karta rahy.
Sawal: train k safar mein agr wuzoo k liye paani mojood na ho to kia tayammum jaiz hai?
Jawab: train mein paani dastayab na ho to tayammum jaiz hai magr shart ye hai k train k kisi dabbay mein bhi paani mojood na ho ya na mily aur ek meel k andar paani k mojood na honey ka bhi ilm ho jahan train rukti ho aur namaz ka waqt bhi khatm honey wala ho to aisi soorat mein tayammum jaiz hai.

masail e namaz


Sawal: Namaz k kull kitny faraiz hain?
Jawab: Namaz k kull 13 faraiz hain agr in mein se ek bhi kam hoga to namaz na hogi aur woh 13 faraiz ye hain (1) jism ka paak hona (2) kapron ka paak hona (3) satar ka chupa hua hona (4) jagah ka paak hona (5) qibla rukh khary hona (6) waqt e namaz hona (7) niyat karna (8) takbeer e tehreema kehna (9) qayaam karna (10) qiraat karna (11) rukoo karna (12) sajood karna (13) akhri qaada mein ba qadr e tashahud bethna.
Sawal: Namaz k wajibaat kiya hain?
Jawab: Namaz k kull 12 wajibaat hain (1) surah fatiha parhna (2) kisi surat ka milana kam se kam 3 ayaat (3) surah fatiha ka surat se pehly parhna (4) farz namaz ki sirf pehli 2 rakaat mein surah fatiha k sath koi surat milana (5) tamam namaz ko itmenan se parhna (6) pehla qaada (7) tashahud ka parhna (8) salaam pherna (9) witar mein dua e qanoot parhna (10) eid ki namaz mein zyada takbeerat kehna (11) imam ka fajr, magrib, isha, eid, juma, taraveeh aur vitar(ramzan) mein buland awaz se qiraat karna (12) imam ka zohar, asr mein halki awaz se tilawat karna.

masail e roza


Sawal: rozey ki kitni iqsaam hain?

Jawab: rozey ki 3 iqsaam hain.
(1) ramzan ka roza: ramzan ka roza wo hai jo ke her aaqil baaligh musalman pe farz hai .
(2) nazar (mannat) ka roza: ye wo roza hai ke jab koi shakhs ye kahy ke agr mera fulaan kaam hogaya to me ek din ya jitny din ka irada kary k roza rakhunga to ye roza rakhna farz ho jaey ga agr din bhi mutayyan kar liya to usi din ka roza rakhna farz hoga agr din mutayyan nahi kiya to jab chahey roza rakh le.
(3) nafli roza: nafli roza insan kisi bhi din niyat kar ke rakh sakta siwaey mamnoo ayaam ke jesy 4 din eid ul azha ke aur ek din eid ul fitar ka hai.

Sawal: ramzan k rozey ki niyat kis waqt karni chahye?

Jawab: afzal ye hai k ramzan k rozey ki niyat subah saadiq se pehly pehly kar leni chahye lekin agr subah sadiq se pehly roza rakhney ka irada nai tha lekin subah sadiq k bad irada hua to agr subah sadiq k bad kuch khaya piya nahi to niyat sahi hai agr kuch khaya piya na ho to dopher se ek ghanta pehly yani subah sadiq se le kar gharoob e aftab tak ke waqt ka adha hissa kar ke us se ek ghanta pehly tak rozey ki niyat karna darust hai.

Sawal: nafil aur nazar ke rozey ki niyat kesy ki jaey?

Jawab: niyat dil ke iradey ka naam hai agr mutlaq sirf rozey ki niyat ki jaey gi to wo nafil roza hoga lekin nazar k rozey ke liye nazar ki niyat karna zaroori hai lekin nazar ke rozey ki niyat subah sadiq se pehly karna shart hai lekin agr din moayyan kiya hua ho to subah sadiq k bad bhi niyat darust hogi.

Sawal: qaza rozey ki niyat kesy ki jaey?

Jawab: qaza rozey ki niyat subah sadiq se pehly karna shart hai subah sadiq ke bad qaza rozey ki niyat darust na hogi.

MASAIL e SEHRI O IFTAAR

masail e zakaat

masail e hajj o umra