Saturday 10 March 2012

masail e namaz


Sawal: Namaz k kull kitny faraiz hain?
Jawab: Namaz k kull 13 faraiz hain agr in mein se ek bhi kam hoga to namaz na hogi aur woh 13 faraiz ye hain (1) jism ka paak hona (2) kapron ka paak hona (3) satar ka chupa hua hona (4) jagah ka paak hona (5) qibla rukh khary hona (6) waqt e namaz hona (7) niyat karna (8) takbeer e tehreema kehna (9) qayaam karna (10) qiraat karna (11) rukoo karna (12) sajood karna (13) akhri qaada mein ba qadr e tashahud bethna.
Sawal: Namaz k wajibaat kiya hain?
Jawab: Namaz k kull 12 wajibaat hain (1) surah fatiha parhna (2) kisi surat ka milana kam se kam 3 ayaat (3) surah fatiha ka surat se pehly parhna (4) farz namaz ki sirf pehli 2 rakaat mein surah fatiha k sath koi surat milana (5) tamam namaz ko itmenan se parhna (6) pehla qaada (7) tashahud ka parhna (8) salaam pherna (9) witar mein dua e qanoot parhna (10) eid ki namaz mein zyada takbeerat kehna (11) imam ka fajr, magrib, isha, eid, juma, taraveeh aur vitar(ramzan) mein buland awaz se qiraat karna (12) imam ka zohar, asr mein halki awaz se tilawat karna.

9 comments:

  1. agar namaz k sirf farz parh liyey jayien toh namaz jayiz hoge?

    ReplyDelete
    Replies
    1. Agr namaz k sirf farz parh liye jayen to farz to adaa ho jayengay lekin jo sunnat e moqida chor di jayen gi unka gunah mily ga aur namaz mukamal na hogi.

      Delete
  2. Kya half sleeve shirt may namaz parhi ja sakti ha?

    ReplyDelete
  3. Asslam o Alaikum...
    Ji yeh poochna hai k kya half bazoo wali shirt mein namaz ho jati hai??
    Aur agar pent pehni ho tou kya namaz parhte waqat usay neeche se fold karna chahiye??

    ReplyDelete
  4. assalam.u.alaikum ..
    g ye pouchna tha k agr kisi ka bladder kamzor ho aur aksar peshaab lag jata ho aur baar baar kapray na change ho saken to iska kya hall hai k namaz b na chhootay .. plz reply ,,

    ReplyDelete
  5. agar balon(hair) mein lassan(garlic) lagi ho kisi balon(hair) ki bemmari ki waja se tou wazoo karke namaz parh sakte hain?

    ReplyDelete
  6. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  7. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  8. kya 1 iman 1 moqtadi ki jumat hoti ha

    ReplyDelete

Apka Sawaal Kiya Hai?