Saturday 10 March 2012

masail e ghusal


Sawal: ghusal k kitney faraiz hain?

Jawab: ghusal k kul 3 faraiz hain 1) munh mein paani daal k garaara karna 2) naak mein kachi haddi tak paani pohnchana 3) puray badan ko is tarah dhona k baal barabar jagah b khushk na rahy.

Sawal: Agr ghusal k aakhir mein kulli yaani garaarey aur naak mein paani dalna yaad aye to kiya karna chahye?

Jawab: bhool janey ki surat mein jab yaad ajaey us waqt hee munh aur naak mein paani daal lein to bhi ghusal ho jaey ga.

Sawal: ramzan mein gharaarey aur naak mein paani dalney ka hukum?

Jawab: ramzan mein garaarey aur naak mein paani dalney ki zaroorat nahi q k is tarah roza toot janey ka andesha ho sakta hai begair in k bhi ghusal ho jaey ga.

Sawal: ghusal kharey ho kar ya beth kar ya khuley medaan mein karney ka hukum?

Jawab: pardey mein kaprey utaar kar aur beth kar ghusal karna zyada behtar hai aur agr mard khuley medaan mein ghusal kary to naaf se ghutnon tak apna satar dhaanp kar ghusal kary kyun k satar kholna haraam hai.

Sawal: gehray aur jaari paani mein ghusal kesy karain?

Jawab: gehray aur jaari paani mein kulli aur naak mein paani daal leny k baad dubki laga leny se bhi ghusal adaa ho jaey ga.

Sawal: haiz k baad paak honey k liye kia kiya jaey?

Jawab: haiz k baad paak honey k liye najaast ko dho leny k baad bus ghusal kar liya jaey to paaki haasil ho jaey gi.

Sawal: kiya orat k liye tamaam baalon ka dhona zaroori hai?

Jawab: sar k tamaam baal dhona farz hai puraney zamaney mein oratein sar k baal goondh liya karti thi yani mendhniyan si ban jati thi aisi surat mein sirf baalon ki jarr tak paani pohncha dena kaafi hota tha magr ajkal baal aam tor per khuly rakhti hain is liye tamaam baal dhona farz hai warna ghusal na hoga.

Sawal: train mein ghusal kesy karain jab k sirf wuzoo jitna paani ho?

Jawab: agr ghusal k liye paani mojood na ho to tayammum kar liya jaey is mein b 3 sharait hain (1) train k kisi dabbey mein bhi itna paani ghusal jitna mojood na ho. (2) raasty mein ek meel k andar koi station na ho jahan paani ka mojood hona maloom ho. (3) train k takhton per itni matti jami ho jis se tayammum ho sakey...agr in mein se koi shart na paai jaey to jis tarah mumkin ho us waqt to namaz parh lein lekin baad mein ghusal kar k woh namaz lotana zaroori hai.

Sawal: ghusal ki haajat ho to roza rakhna aur khaana peena aur bartan wagera ko hath lagana kesa hai?

Jawab: haath munh dho kar kha pee lein aur roza rakh lein ghusal baad mein kar lein janaabat ki halat mein khana peena makrooh nahi hai aur bartan ko hath laganey se wo b napaak nai hoty.

Sawal: ghusal e janaabat mein taakheer karna kesa hai?

Jawab: ghusal e janaabat mein itni takheer karna k namaz fout ho jaey sakht gunah hai ghusal mein kisi bhi dunyavi mashgholiyat ki waja se itni taakheer karna k namaz fout ho jaey jaiz nahin hai.

Sawal: ghusal aur wuzoo mein shak karna aur zyada paani bahaana k koi jagah khushk na reh gai ho?

Jawab: ghusal aur wuzoo sunat k mutaabiq yaani 3, 3 baar jism per paani baaha lein is k baad shak karna galat hai khwah kitney bhi waswasey ayen k koi hissa khushk reh gaya hoga magr isko sheetani khyaal samjh k iski koi parwah na karain.

Sawal: ghusal e janaabat k baad pehly waly kaprey pehnna?

Jawab: aisy kaprey pehny jaa saktey hain agr un pe koi najaasat na lagi hui ho koi harj nahin hai.

Sawal: naapaki ki halat mein naakhun aur baal kaatna kesa hai?

Jawab: naapaki ki halat mein naakhun aur baal kaatna makrooh hai lekin agr naakhun aur baal dho kar kaat liye jayen to makrooh nahin hai.

Sawal: janaabat ki halat mein milna julna aur salam ka jawab dena kesa hai?

Jawab: janabat ki halat mein kisi se milna salam kehna ya salam ka jawab dena jaiz hai.

Sawal: zair e naaf baal kahan tak kaatna chahye?

Jawab: naaf se le kar raanon ki jarr tak aur peshab aur paakhaney ki jagah k ird gird jahan tak mumkin ho baal kaat dena chahye.

Sawal: gair zaroori baal aur naakhun kitny din baad kaat dena chahye?

Jawab: gair zaroori baal aur naakhun her haftey kaatna mustahb hai lekin 40 din tak na kaatney ki ijazat hai magr 40 din se zyada dair rakhna gunah hai.

Sawal: seeny k baal aur taangon ya pindliyon k baal blade se kiya saaf kiye jaa sakty hain?

Jawab: jii haan jaiz hai.

Sawal: kiya orat per bacha peda honey se ghusal farz ho jata hai?

Jawab: orat per bacha peda honey k baad usi waqt ghusal wajib nahi hota jab khoon aana band ho jaey to ghusal waajib ho jata hai.

Sawal: ghusal k baad agr koi qatra ajaey to kiya hukum hai?

Jawab: peshab ka qatra aney per dobara ghusal ki zaroorat nahi lekin agr money ka qatra aya hai to ghusal se pehly so liya ho ya peshab kar liya ho ya chal phir liya ho to bhi dobara ghusal ki zaroorat nahi lekin agr naapaki lahaq honey k foran baad ghusal kar liya na peshab kiya na soya na chala phira aur koi qatra money ka agaya to dobara ghusal laazim hai lekin qatra nikalney se pehly agr koi namaz parhi to wo ho gai.

37 comments:

  1. agar kisi bimari ki wajeh se mard ki sharmgah se khalis ratubat (mabaad) nikal raha hai aur band nhi ho raha to kis tarhan Namaz ada karega?

    ReplyDelete
  2. bhai aisa hona q k bemari ki waja se hai is liye her namaz k liye new wuzoo karna hoga aur underware wagera pehn k rakhna hoga to namaz ho jaey gi her namaz k liye ghusal karny ki zarurt nahin hai.

    ReplyDelete
  3. agr kisi ko yeh masla ho jese k usko ahetelaam na mgr roz so k uthe to 1.2 bund money ki niklein to zaroori hai wo gusal kre ya wo jaga paak kr k pak saf kaprey pehen k namaz pr skta hai ya nhin gusal krna prhe ga ya nhin

    ReplyDelete
  4. Janab.. Ek sawal hy mera k agar kisi shakhs ko kisi waqt money qatray arhy hon aur wo tissue paper waghera rakhle aur phir jab aana ruk jain tu achi tarha us jaga ko dho kar aur phir wuzuu kar k namaz ada karle, tu kya namaz hojaigi???

    ReplyDelete
  5. kya money ke 1.2 qatre ke bad sirf ghusal karky aur wo hi kapre pehne jaen to sahi hai??aur kya 1 2 qatre m bhe ghusal karna chahiye?

    ReplyDelete
  6. agr banday ko zakhm lga ho or nahanay sa khrab hota ho to ahtlam ho jaya to is surat ma kia karna chahiya

    ReplyDelete
  7. bahz okat shram ki wjha se gusal nai kar pata to is ka koi hal?

    ReplyDelete
  8. Appendix operation ki surat mai agar Raat ko ghusal wajib ho jayai. Awer naha bhi nahi saktai to Kiya kerna chahiyai.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Tayyamoom kar le, Islam me itni sakhti nahi he,jab seht achi hu jae to bad me ghusl kr sakte he

      Delete
  9. Appendix operation ki surat mai agar Raat ko ghusal wajib ho jayai. Awer naha bhi nahi saktai to Kiya kerna chahiyai.

    ReplyDelete
  10. sir agar gussal k bad mani ka koi qatra kapron se ya phr bistar ki chaadar se jisam k kisi hissay ko lag jaye to kia dobara ghussal wajib ha ya phr dhoo lena kafi ha??

    ReplyDelete
  11. Humbistar hone k bad kia maa ghzal kiye bager apne bachy ko apna doodh ya fider wala dhood pila sakti hai ya nahi reply fast

    ReplyDelete
  12. Humbistar hone k bad kia maa ghzal kiye bager apne bachy ko apna dhood pila sakti hai ya nahi reply fast

    ReplyDelete
  13. Aoa. Pl reply fast . Roza k luy gusl e janabat azan fajar sy prhly hy ya azan k baad tak??

    ReplyDelete
  14. Aoa ..pl reply fast.. rozy k liy gusle janabat azsn fajar dypehly hy ya azan fajat k baad tak?

    ReplyDelete
    Replies
    1. Fajjar k nmaz se pehle tk ghusl kr sakte he agar fajjar ki namaz qaza hu jae ar napaaki barkrar rahe to sakht gunah he magar roza ka swab mile ga, lakin nimaze qzah ka sakht gunah he

      Delete
  15. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  16. gher orat k sath hambistri krna kesa hae mahe ramzan men or ghusal krne se katrana ta k kisi ko shak na ho jae

    ReplyDelete
  17. Agar ramzan ma raat k 2 baje mujh per gusal wajib ho jaye aur ma fajar namaz chodna b nai chahta,na he mai gusal kar paya(waqt ki kami hone ki waja se aur thande pani se dar ki waja se) mai namaz ada kar sakta hun(fajar)?

    ReplyDelete
    Replies
    1. nhi aap Tayam mum karne k baad namaz parh sakty hain

      Delete
  18. Gusal ke doran ya gusal ke foran bad agher hua (gas) nikel jai to kia gusl ho jay ga ya phir se gusal kerna ho ga.

    ReplyDelete
  19. ager ghusal karne ke dowran peshab ka qatra ya koi suped qatra nekal jaye bemar e ke waja say to kya hukam haain??

    ReplyDelete
  20. Sahri karny k baad patta challa Gusal wajib hai kya roza hoga

    ReplyDelete
  21. agr haiz k bad ilm ho k ap ki body pe wax reh gae hai tou ghusal phir se krna ho ga...kya wax body pe reh janay se body us jagha se wet hoti hai ya nai

    ReplyDelete
  22. Aoa wrwb...
    Jnab ghar me jo pani arha hy us me se aisi smell arhi hy jaise murda janwar ki ho? Kiya us pani se ghusal ho skta hy ? Jb.k ghusal wajib ho?
    Agr nahe to ghusal kese kiya jaye?
    Tayam.mum kr skte hen?
    Please sari soraten jo mumkin hon nta den .
    JzakAllah

    ReplyDelete
    Replies
    1. Pani ko ubal le thanda kar le Pani ko phir ghusl kre, agar mumkin nahi to tayyamoom kre

      Delete
  23. Sir mara question ya ha.k Agar insan bemar ho Aur naha ni sakta ho to is halat main guasal kesy karna chea

    ReplyDelete
  24. Kya husband wife ek sath ghusal kr skte ha or tareeqa kya ha plz explain

    ReplyDelete
  25. Agar kisi k nose ki koi aik side band rehti ho to naak mei pani gya ya nhi shaak mei ajata aisi surat mei just 3 dafa pani naak mei dalne ka farz ada ho jaega or gusal mukamal ho jaega??

    ReplyDelete
  26. BAI Please reply fast AGR Roza ki halat ma na chahta hua Mani kharij hojya toh kea Roza to gea

    ReplyDelete
  27. Sir Agr Aap Apni Biwi K Sat Humbistree karein Aur Us K Bad Sehri Karein Aur Azaan HoN Jaya Aur Azaan K Bad Aap Ghussal Karein Kia Aap Ka Roza Aur Ghussal Dono Hon Jaya Ga K Nai

    Aur Just Mein Ne Sirf Hath Doye Hai Khulli Waghera nai Ki Hai Than Kia Mera GhussaL Hon Jaya Ga

    ReplyDelete
  28. Agar humme tez Bukhar ho Aur ghusal karne se halat kharaab ho sakti ho.. Toh hum kya karein... Jaise wuzu ka alternative tayammum h, Waise h kya ghusal ka koi alternative h?

    ReplyDelete
  29. Bimari ki halat me ghusal kese lia jaye? Jab tez temperature ho or nahaya na ja saky to ghusal kese kia jayega?

    ReplyDelete
  30. agar kisi bimari ki wajeh se mard ki sharmgah se ghusal ky dhuran pishab ka qatra nikal raha hai aur band nhi ho raha to ghusal ho jya ga

    ReplyDelete
  31. Aik baar aehtlam hony k bad ghusal kr k dobara so jaye or kuch dair bad phir aehtlam ho jaye to ghusal wajib ho ga ya nahi?

    ReplyDelete
  32. Ghusal ma naak ma pani dlna zukham se naak band ho tu kia kry

    ReplyDelete
  33. Agr ghusl haiz k bad ye weham ho k chehre ka hissa reh gaya hai to kia ghusl mukamal nai hua ? Dubara ghusl krna parega?

    ReplyDelete

Apka Sawaal Kiya Hai?