Saturday 10 March 2012

paaki k masail


Sawal: najaasat ki tareef kiya hai?
Jawab: najaasat ki 2 iqsaam hain ek nijasat e khafifa aur dosri nijasat e ghaliza.
1) najasat e khafifa: ye aisi najasat hai jis mein halal janwaron ka peshab kapray k chothai hissay tak muaaf  hai aur kapray ka her hissa alag shumaar hota hai daaman alag hissa hai aasteen alag hissa hai is liye sub ka chothai hissa b alag shumar hoga aur muaaf honey ka matlab ye hai k is halat mein namaz parh li jaey to namaz ho jaey gi dobara lotaaney ki zarurt nahi magr najasat ka door karna aur kapray ko paak karna bhi zaruri hai.
2) najasat e ghaliza: ye aisi najasat hai jis mein admi ka pakhana, peshab, sharab, khoon, janwaron ka gober, aur haram janwaron ka peshab wagera shamil hain ye agr siyal behny waly hon to ek rupay (jo bara wala ek rupay ka sikka hai) k phelao k brabar muaaf hain aur agr garha maada ho to 5 maashey wazan jitna muaaf hai is se zyada ho to namaz na hogi.
Sawal: dair tak peshaab k qatray aaney walon k liye paaki hasil karny ka tariqa kiya hoga?
Jawab: jis shakhs ko ye marz lahaq ho k dair tak usay qatray atey rehty hain usay paani se istanjja karny se pehly lazmi pathar ya tissue ka istemal karna chahye jab itmenaan ho jaey phir paani se istanjja kary.
Sawal: hawa nikal janey ki surat mein kiya istanjja bhi lazim ho jata hai?
Jawab: jii nahin hawa nikalney ki surat mein sirf  wuzoo lazim aata hai istanjja karna sahi nahin hai agr hawa k sath kuch najast nikal gai ho tab istanjja bhi lazim hai.
Sawal: sheer khwaar bachy ka peshab paak hai ya naa paak?
Jawab: itny bachy ka peshab bhi naa paak hota hai is liye us jagah ya kapray ko paak karna zaruri hai.
Sawal: kapray aur bartan paak karny ka tareeqa?
Jawab: kapra ya bartan agr naa paak ho jayen to 3 baar saaf paani se dho leny se ye paak ho jaty hain kapray ko 3 baar nichor kar dhona hoga.
Sawal: roi aur foam ka gadda paak karny ka tariqa kiya hai?
Jawab: aisi cheez jis ko nichorna mumkin na ho is k paak karny ka tariqa ye hai k us ko dho kar rakh diya jaey yahan tak k us se qatry tipakna band ho jayen is tarah us cheez ko 3 baar dho liya jaey to wo paak ho jaey gi.
Sawal: kiya naa paak insan agr bartan ya kisi aur cheez ko hath laga le to woh naa paak ho jaey gi?
Jawab: jab tak naa paak insan k haath pe koi zaahiri najasat lagi na hogi to us k kisi bhi cheez ko haath lagany se woh cheez naa paak nahi hogi.
Sawal: kapray dhoty huy jo chinten urti hain woh paak hain ya naa paak?
Jawab: agr kapra naa paak hoga to lazmi tor pe dhotey huy uski urti cheenten b naa paak hongi un se bachna zaruri hai aur paak kapray ki cheentain paak hoti hain.
Sawal: bachy ka peshab agr farsh ya zameen pe sokh jaey to uska hukum kiya hai?
Jawab: agr bachy ka peshab zameen ya farsh pe sookh kar mukamal khatm ho jaey to woh jaga paak hogi aur wahan kapra bichaey bina b namaz parh sakty hain.
Sawal: kisi cheez k paak ya naa paak hony mein shak ho to uska kiya hukum hai?
Jawab: agr yaqeen zyada ye ho k paak hai to usay paak samjha jaey aur shetaani wasawis pe dehan na dein aur jis cheez ka ghalib gumaan ho k naa paak hai woh naa paak hogi.
Sawal: kuttay aur billi k badan se agr kapray choo jaeyen to kiya hukum hai?
Jawab: kuttay aur billi k jism se agr kapray wagera choo jayen to wo paak hongay chahey unka jism geela hee kyun na ho bus un k jism pe koi zaahiri najasat na lagi ho magr kuttay ka thook naa paak hai woh jis cheez pe lag gaya woh bhi naa paak ho jaey gi aur billi ka thook makrooh hai is liye dono k thook se bachna zaruri hai.

   Paaki se mutaaliq aurton ke masail

Sawal: Haiz ki kam se kam muddat aur zyada se zyada muddat kiya hai?
Jawab: Haiz ki kam se kam muddat 3 din aur 3 raat hai aur zyada se zyada muddat 10 din aur 10 raat hai lekin agr 3 din se khoon kam aya sirf ek ya 2 din to woh haiz shumaar na hoga balkey woh istehaza hoga aur us din ki namaz qaza karna zaruri hogi aur agr isi tarah 10 din se zyada khoon aya to pichli daffa ki adat ko dekhna hoga k last time kitny din khoon aya tha agr jesy last time 6 ya 7 din khoon aya tha to itny din is baar bhi haiz ke hongay aur is se ooper jitny din khoon ayega woh istehaza ka khoon hoga jis mein namaz wgera parhna farz hai aur istehaza woh khoon hota hai jo kisi bemari ki wajah se aata ho.
Sawal: kiya aurat naa paaki k ayaam mein naha sakti hai?
Jawab: jii haan aurat naa paaki k ayaam mein naha sakti hai magr ye nahana paaki k liye na hoga.
Sawal: kiya haiz se paak hony ki koi ayat hai?
Jawab: jii nahin na paak insan paani se paak hota hai ayaat aur kalmaat se nahin.
Sawal: haiz mein shohar se muqarbat?
Jawab: aisi halat mein biwi se milna na jaiz haraam aur gunah e kabeera hai toba isteghfaar kary aur agr gunjaish hi to taqreeban 6 garam chandi ya is ki qeemat sadqa kary warna toba hee karta rahy magr is na jaiz amal se nikkah mein koi farq nahi parta magr aisi halat mein aurat k naaf se ghutnon tak k hissay ko bhi shohar ka haath lagana begair pardey k jaiz nahin.
Sawal: haiz k dino mein aurton k haath ka pakka khana khana jaiz hai ya nahin?
Jawab: zamana jaahiliyat mein ye mashoor tha lekin aisi koi baat nahin hai khana kha sakty hain aur tamam kaam jesy kapry dhona wagera sub jaiz hain.
Sawal: nifaas kisy kehty hain aur is ki kam se kam aur zyada se zyada muddat kiya hai?
Jawab: bacha peda hony k baad jo khoon aata hai usay nifaas kehty hain aur is ki kam se kam muddat koi nahin agr ek lamha khoon aa kar ruk jaey to wo nifaas hee kelata hai aur zyada se zyada muddat 40 din 40 raat hai agr 40 din se khoon zyada ayega to wo istehaza ka khoon hoga.
Sawal: haiz aur nifaas k ahkaam kiya hain?
Jawab: haiz aur nifaas mein namaz muaaf hai bad mein in ki qaza karny ki zarurt nahin jab k in ayaam mein roza muaaf nahin baad mein rozey ki qaza karna hogi aur tilawat e kalaam e paak jaiz nahin magr zikr e ALLAH aur darood shareef aur deegar duaein parhi jaa sakti hain aur wazaif aisy jin mein qurani ayaat na hon woh kar sakty hain.
Sawal: haiz ki halat mein mehndi lagana jaiz hai?
Jawab: haiz ki halat mein mehndi lagana jaiz hai.
Sawal: haiz k doran pehny huy kapron ka hukum?
Jawab: haiz k doran pehny huy kapry pak hoty hain agr nijasat lag gai ho to us hissay ko pak kar liya jaey wesy kapra paak hai.
Sawal: kiya haiz k dinon mein quran e pak ka tarjuma parhna ya arabic mein ahadees parhna jaiz hai?
Jawaz: dono kaam jaiz hain magr begair haath lagaey huy.
Sawal: imtehan k dino mein qurani surton ka jawab kis tarah likha jaey?
Jawab: tarjuma aur tashreeh likhny ki ijazat hai magr ayat e kareema ka mattan na likhy balkey ayat ka hawala de kar us ki tashreeh likh de.

46 comments:

  1. kiya bewee apne shoher ki peny coose sakti ha aur mard apni bewee ki coose sakta ha aur jab bewee chosti ha aur mani nakalti ha kiya wo pak hoti ha ya napak aur aurat ke wo mani peena kiya jaiz ha ?

    ReplyDelete
    Replies
    1. Sex ke baad mani ke kharij hone par aurat aur mard dono naapaki ki halat mein hi hote hain isliye dono par ghusl waajib hota hai. Oral sex karna haram nahi hai par mani ka peena haram hai.

      Delete
  2. kya bhouon ke darmayan ke baal katwana jaiz hai ya na jaiz? mera matlab hai k agar aankon ke oopar donon bhouen mil jaen to phir?

    ReplyDelete
  3. kya haiz mae ager mehndi lgae tou jb tk mhndi utry na gusl nae hoskta mtlb pak nae hoskta?

    ReplyDelete
  4. 17 sal se zahid umar log zojen ke masil parh sakte ha islam me ijzat ha iski agar ni tu kia ye gunaah ha??

    ReplyDelete
  5. Kya peshay k qatry masalsal any walo ki nmaz ho jati hai chahy nmaz parhty he qatra ay or isi halat main mazeed nmaz parh skta hai?

    ReplyDelete
  6. choty pisab ka kitna katra kpry na pak kar dyta hy

    ReplyDelete
  7. kia shohar apni vife ka peshab wali jaga ko chose sakta he chosne ki doraan agr beshab ajae to wo ander nahe balke zuban se test kr sakta he

    ReplyDelete
  8. Koi btae ga kh agr kxi lrki sy nikah sy phly sex kr liya jae to us gunnah ki Maufi ka Koi rasta ??

    ReplyDelete
    Replies
    1. Sadqa karo dil se toba karo sache dil se aur gunnah k gawah na banao

      Delete
  9. Napak jism k sath kha pee sakta hai ya nhni?

    ReplyDelete
    Replies
    1. Sab khaa sakte hain bas ghusl kar lein.

      Delete
  10. Agar Admi Zina kary ur ghusal se phly koi chez kha ya pee sakta ha

    ReplyDelete
  11. haiz k dooran istinja krny k baad paani k drop nikaltey hain.kya wo paak hain?

    ReplyDelete
  12. Kiya apni biwi ki naak me jeebh dal sakte he matlab uski naak ki rutbat ham kha sakte he??

    ReplyDelete
  13. Kya najasat ko siraf pani sa doya jasakta hai

    ReplyDelete
  14. Alcohol agar kaleen(carpet) par gir jaaye to usey paak kaise kiya jaye?
    Woh kaleen jo dhoyi nhi ja sakti (not washable)???
    Please reply?

    ReplyDelete
  15. agr 13 sal sa zaed umer k bcha ka peshab zmin pa gr k suk jae uski tree jaenamaz ma na a skte ho to kia namaz ho jae gi?

    ReplyDelete
  16. Mujhe peshab nikaljana ka shak hai aur mai baar baar apne pant dekhtha rehtha hoon jise mera dimag kharab hora hai ye mai pechle 4 months se hai aur aj tak mujhe pesab kya khtra naxar nahi aya mai kya karon

    ReplyDelete
    Replies
    1. Shak karna band karo.

      Delete
    2. Simple till khao kuch din jisy ham sesame seed kehty hen Allah shifa dyga inshallah

      Delete
  17. Choty bachy agr kpron pe vomiting kren to kya kpre napaak ho jaty hain?

    ReplyDelete
  18. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  19. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  20. Mera sawal hao k agr kapree napaak r geelay ho r us napaak geelay kapre k sath agr hum fo.metress pe bth jate hai r geelapan us foam metress pe chala jae tau kia wo napaak hjae ga foam r agr wo napaak hai tau usy kce paak kia jae?

    ReplyDelete
  21. Urine nikal jaye to kya istanja karke shalwar badal kr namaz ho jyegi??

    ReplyDelete
  22. PEshab karna ke baad sharam gah ko hand se dhona hai ya nahi

    ReplyDelete
  23. Assalam Alaikum, Mera sawal yeh he keh Ramzan kay Qaza shuda Rozay jo keh haiz ki wajah say huay hon. Unki Qaza ka Kiya Hukam he?

    ReplyDelete
  24. AGR KIXI INSAN K JISM PAR KOI BARA ZAKHAM H YA OPERTION WAGIRA HO JISY PANI WAGIRA LAGANA MANA HO AUR USI HALAT MAIN WO HUMBISTARI KRY YA KOI AUR WAJA S GUSLA FARZ HO TO KYAA KRNA CHYE

    ReplyDelete
  25. Agr peshab krny k baad bhi peshab k katray beh jaye or kapron ko napak kr den ro namaz kesy aada karen

    ReplyDelete
  26. Agr bnda apnay penis ko direct pakray aur us k baad wo hath kapron ko lagaye to Kia kapray napaak ho jaen gay.. aur agr napaak ho gaey aur phir hath dho k kapron ko lagaya to kia hath napaak ho jaey ga..aur agr is trha hath napaak ho to jis jis chez ko lagay ga maslan mobile wgera to kia wo sab b napaak ho jaey ga

    ReplyDelete
  27. Agar sary kapry dhony k bad kisi kapry pe nijasat lagi reh jye to sart kapry dobara dhony paren gy ya us ek kapry ko dhona parhy ga?

    ReplyDelete
  28. Kia pakhany wali jaga ko b hath sy dhona chaiy

    ReplyDelete
  29. دماغ کا علاج کرلو آپ جاہل

    ReplyDelete
  30. some questions and comments are hilarious.... By the way above knowledge is up to the mark .. JAZAK ALLAH KHAIR KASEER

    ReplyDelete
  31. Aslam-o-Alaikum: mera swal ye ha k agr ehtelam ho jay or us k bad bnda gusal kr k frr us k bad jo kapray napak hain unko dhony sy dobara napak ho jay ga ya nahi?

    ReplyDelete
  32. Kya nijasat dhoop Mai kuch arsa rehne k bad khatam ho jaye gi Jesa k dewar wagera pr lghi ho nijasat Kya wo Pak ho jaye gi

    ReplyDelete
  33. Ager ehtelam wala trouser kapro sath dho da to kia vo kapra napak to nahi ho ga
    Or trouser pak ho jia ga

    ReplyDelete
  34. Aoa kya bili ky jism sy utry hway bal jis jgha pr hon us jgha pr namaz prh skty hn?

    ReplyDelete

Apka Sawaal Kiya Hai?